This is a Naz’m I just wrote few minutes back.
Please, share your feelings and thought or perhaps any of the songs for Quaid, any of his quotes that you like in this thread to pay tribute to Father of the Nation…
Here is my Naz’m:
Sar-zameen-e-paak kay aaj logoN ko tau dekho
aye Quaid teray naam lewaaouN ko tau dekho
Woh mulk jissay Islaam kay naam paY banaaayaa
Har ik nay yahaaN soobaa ik lisaaN paY banaayaa
sindhi hai koi, baloch koi, punjabi, koi paThaan
jo boltaY haiN urdu, alag rakhtaY haiN pehchaaN
Ik millat thaY kabhi, aaj hissoN maiN baTay haiN
Quaid, yeh teraY loug, aaj qoumoN maiN baTaY haiN
Teraa farmaan tamghay kee tarah seenoN paY sajaayaa
Naz’m, ittehaad hee, naa yaqeen-e-Mohkam hai bachaaya
Jo thaY qoum kaY muhaafiz, woh apnoN say laRay haiN
SeenoN peY zakh’m bhee hammaiN apnoN say paRay haiN
Aaj naa koi Iqbal hai, naa Liaquat, naa Jinnah hai
Safeenaa iss qoum kaa yooN doobti naao kee tarah hai
Aaj qoum kaY bachoN ko yehi peghaam-e-Jinnah hai
Dil musalmaaN kaa meraY bachoN! kundan kee tarah hai
Gardaab maiN iss qoum kee jub kashti phaNsi thee
tau hum naY bhee phir aazaadi kee ik jaNg laRi thee
Aaj phir naao hai hamaari bhaNwar kaY kinaaray
Mulk ko baRhnaa hai, abb tumhaaraY hee sahaaraY
Tum maiN bhee koi Iqbal bannaY, koi Jinnah bhee
Iss mulk ko bachaanaa hai abb kissi tarah bhee
- BY:** AQ**
December 25, 2008