(Lyrical Poetry)
Mehnga phir petrol hua lo sasta phir eemaan hua
Pyaaray quaid e azam ka lo ham pe phir ehsaan hua
Parliament ki deewaaron ke peechay ek ijlas hua
Ham ko phir baybasi ka apni shiddat se ehsaas hua
Jeena phir dushwar hua lo marna phir aasaan hua
Pyaaray quaid e azam ka lo ham pe phir ehsaan hua
- Paaga| |nsaan