**Qissa abhi hijaab sy aagy nahi barha
Main aap Wo janab sy aagy nahi barha
Muddat hoi Kitab-e-Muhabbat shuro ki`ay
Lykin main pehle baab sy aagy nahi barha
Lambi musaftain hyn magar is sawaar ka
Paon abhi rikaab sy aagy nahi barha
Tool-e-Kalaam k li`ay main ny kiya sawaal
Wo mukhtasar jawaab sy aagy nahi barha
Rukhsaar ka pata nahi aankhin to khoob hyn
Dedaar abhi naqab sy aagy nahi barha…
**