Qismat mein reh gaeen hain jo aahain tu kya huwa

Hum se badal gaya woh nigaahain tu kya huwa
Zinda hain kitne loug muhabbat kiye baghair

Guzre dinoon mein jo kabhi goonjay thay qeh’qahay
Ab apne ikhteyaar mein woh bhi nahee rahay
Qismat mein reh gaeen hain jo aahain tu kya huwa
Sadma yeh jhailna hai shikaayat kiye baghair

Woh saamne bhi ho tu na kholenge hum zubaan
Likhi hai us ke chehre pe apni hi daastaan
Us ko taras gaeen hain yeh baahain tu kya huwa
Woh laut jaaye hum pe inaayat kiye baghair

Pehle qareeb thaa koi ab dooreyaan bhi hain
Insaan ke naseeb mein majbooreyaan bhi hain
Apni badal chuka hai woh raahain tu kya huwa
Hum chup rahenge us ko malaamat kiye baghair

awesome.. :) bohat khoob..

Re: Qismat mein reh gaeen hain jo aahain tu kya huwa

aah … amazing stuff amarbail :crying:

:k:

woww excellent amarbail Ji........!!!