Something different…
Qis`saa Gul Badshaah ka (A story of Afghan Child)
Naam maira hai gul badshaah
aur umr mairi hai taira(13) baras
aur kahani mairi umr ki tarhan sai,
muntashir muntashir, mukhtasar mukhtasar,
miri bai-naam bai-chahra maa, bai-dawa mar gayee,
baap nai uss ko burqay mai dafnaa dia,
us ko dar thaa kai munkar naker uska chahraa na daikhain,
jab kai zinda thi, tab bhi wo madfoon thi,
baap ka naam zartaj gul, umr batees(32) baras
wo mujahid, shahadat ka talib, rahay haq ka musafir hua,
aur jaam-e-shahadat bhi usnay mairay chahacha kai hathoun piyaa,
joo shumaali mujahid thaa,aur panjwaqtaa namazi bhi thaa,
tou masala iss shahadat ka paichidaa hai, iss koo bahtar yehi hai! yaheen choor dain..... ab baharhaal baba tou jannaat mai hai, us ki bahon mai hoor-o-qasoor, us kai hathon mai jaam-e-tahoor, mairi taqdeer mai bum, dhamakay, dhowaan, pighalti hui zameen,bikharta hua aasmaan, baad-az-marg wo zindaa hai, zindagi mujh sai sharminda hai, kal sar-e-shaam,dushman nai jaatey huaye,
bum kai humraah! barsaa diyee mujhe par kuch zard thailay,
jin sai mujh ko milay, gool roti ki tukray aik makhan ki tikia aik sharbat ki botal murabbay ka dibba,
iss kai badlay mai wo lai gayee mairay bhai ka dast-e-mushaqat,
jis mai mannaat ka dora bandhaa thaa,
meri chooti bahan ka wo paon jis sai rang-e-hina phot`ta thaa,
loog kahtay hain ye aman ki jang hai,
aur aman ki jang mai hamlaa-awar sirf bachoon ko baidast-o-paa choortay hain un-koo bhooka nahi choortay,
aakhir insaaniat bhi koi cheez hai!!!
mai dahaktay paharoon mai tanhaa,
apnay tarkay ki bandooq thaamay khara houn,
tamasha-e-ahlikaram daikhtaa thaa,
tamasha-e-ahlikaram daikhtaa houn
naam maira hai Gul Badshaah, umr mairi hai taira baras…