Qazaaq Ankhen, Gulaal Chehra, Badan pe Salwat Nishaan ko Tarsy,
Lipat’ta Aanchal, Simat’ta Daman, Lams mein Tere Emaan ko Tarsy.
Lachkeeli Banhen Uthen to Tere Badan ko aise Kamaan kr dein
Hr Ek Qaafi, Hr Ek Kavita, Asar mein Tere Byan ko Tarsy,
Koi Mehkta Garam Tanaffus, Koi Chatakta Sureela Naghma
Dharkte Seeny k Sahilon mein, koi Lehar to Tufan ko Tarsy,
Namood Komal, Wajood Resham, Thakan ko Chunti Aaghosh-e- Niswan
Mere Machalty Ghayoor Jazby, Dua mein Teri Amaan ko Tarsy,
Wo Neeli Nass Mein Sayal Jesi, Nashy ko japti Nabz ki Mala
Sharab Jese Gahak ko Dhundy, Khumar Sood-o-Zian ko Tarse…!