Aap logo(n) mei(n) koi qawwali suntaa hai. Well, I don’t ! 
Phir why this topic ? Bhai aaj aik sunni hai. Not bad iss liye share kar raha hoon :
Haqeeqat kaa agarr afsanaa ban jaye, tow kyaa kijeye
Galey mil ke bhi woh begaanaa ban jaye, tow kyaa kijeye
Humei(n) sow baar tark-e-maikashee(n) manzoor hai lekin
Nazarr uss ki agarr maikhanaa ban jaye tow kyaa kijeye
Nazar aataa hai, sajdey mei(n) jo aksar Sheikh saheb ko
Woh jalwaa, jalwaa-e-janaanaa ban jaye tow kyaa kijeye
Terey milney se jo mujh ko humeshaa manaa kartaa hai
Agarr woh bhi teraa deewanaa ban jaye tow kyaa kijeye
Khuda kaa gharr samajh rakhaa hai ab takk hum ney jiss dil ko
Qateel uss mei(n) bhi ik butkhaanaa ban jaye tow kyaa kijeye
Kyaa khyaal hai bhai logo(n) ? 
Oye I’m helping you out shiraarty, chall shuru ho jaa dost ! !
1 2 3 4 …
[This message has been edited by Umar Talib (edited 10-09-98).]
Hello Umar ji,
Kiyoon haat dhow kay mayray study schedule kay peechay parhain hain!!! Of course, qawalli suntay hain - after all some very touching love verses, qawallion may hee tow payee jati hain
Okay, here's one, contemporary Qawwali - if that is the right phrase
Parda hai parda
Parda kay pichay
Parda nasheen hai
Parda nasheen ko
Bay pardaa na kardoon
Tow, tow, tow, tow
Akbar mayraa
Naam naheen hai
Parda.........
This one is from AMAR AKBAR ANTHONY, I am sure Qawalli hai, but no time to dig it out today!!
Arey aap kee yeh filmi qawwali iss keh muqabley ki kahaa(n) Rubiya jee. This is an extract from Nusrat Fateh Ali Khan's "Dillagi bhool janee padey gee" (to keep inline with your above piece):
Khudaa ke liye chordh dow abb yeh pardaa...
Keh hei(n) aaj humm tumm nahi(n) gheir koi
Shabb-e-wasl bhi hai hijaab iss qadarr kyoo(n)
zaraa rukh se aanchal uthaa karr tow dekhow
Jafaaei(n) bohut kee(n), bohut zulm dhaayey,
Kabhi ik nigahe-karamm iss taraff bhi.
Hameshaa huey dekh karr mujh ko barhamm,
Kissi din zarra muskuraa karr tow dekhow.
Jo ulfatt mey harr ik, sitamm hai gawaaraa,
Yeh sub kuch hai passey-wafa tum seh warnaa.
Sataatey ho dinn raat jiss tarhaa mujh ko,
Kissi gheir kow yoo(n) sataa kar tow dekhow.
Agarchey kissi baat parr woh khafaa hei(n),
Tow acchaa yehi hai tum apnee si karr low.
Woh maaney naa maaney yeh marzee hai unn kee,
Magarr unn ko purnamm manaa karr tow dekhow.
...
Tumhey dillagi bhool jaani padey gee,
Mohabbat ki raho(n) mei(n) aa karr tow dekhow.
janab-e-aalee
kya yaad kara diya hai
tumhey dil lagee .....
muhabbat kee rahon mein aaa kar to dekho
if im not mistaken is this the one which also contains aaankh uthee stuff :)
o man how u enjoy listening to this on your way to murree: :)