QaTeeL SHiFai

today is 11th death anniversary of qateel shifai
plz share some poetry of qateel shifai

Re: QaTeeL SHiFai

Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain
Ham Charaaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaatay Hain
**
**Shamaa Jis Aag Mein Jalti Hai Numaaish Ke Lye
Ham Isi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaatay Hain

Khud-Numaayi Tou Nahee Shewa-e-Arbaab-e-Wafa
Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Se Jal Jaatay Hain

Bach Nikaltay Hain Agar Aatish-e-Sayyaal Se Ham
Shola-e-Aariz-e-Gulfaam Se Jal Jaatay Hain

Jab Bhee Aata Hai Mera Naam Tere Naam Ke Saath
Jaanay Kiun Loog Mere Naam Se Jal Jaatay Hain ?

Re: QaTeeL SHiFai

Wo Shaks Ke Mein Jis Se Mohabbat Nahee Karta
Hansta Hai Mujhe Dekh Ke, Nafrat Nahee Karta
**
**Ghar Waalon Ko Ghaflat Pe Sabhi Kous Rahay Hain
Chooron Ko Magar Koi Malaamat Nahee Karta

Detay Hain Ujaalay Mere Sajdon Ki Gawaahi
Mein Chhup Ke Andheron Mein Ibaadat Nahee Karta

Bhoola Nahee Aaj Bhee Mein Aadaab-e-Jawaani
Mein Aaj Bhee Auron Ko Naseehat Nahee Karta

Duniya Mein Qateel Ossa Munaafiq Nahee Koi
Jo Zulm Tou Sehta Hai Baghaawat Nahee Karta

Re: QaTeeL SHiFai

Mujhse tu poochne aaya hai wafa ke maani
ye teri sada dili maar hi na daale mujh ko

Re: QaTeeL SHiFai

Wo Shaks Jisko Meri Zindagi Mein Aana Tha
Suna Hai Oske Taaqub Mein Ek Zamaana Tha
**
**Na Tha Pasand Ksi Ko Bhi Dil Se Dil Ka Milaap
Magar Hamain TOu Diye Se Diya Jalaana Tha

Na Jaanay Bheeg CHali Kiun Hamaari Peshaani ?
Hamaaray Sar Pe Tou Sooraj Ka Shaamyaana Tha

Bohat Urooj Pe Thay Jub Hamaaray Qoul-o-Qasam
Hamaaray Pyaar Ka Wo Aakhri Zamaana Tha

Bohat Qareeb, Bohat Hee Qareeb Tha Sayyaad
Qafas Se Door Bohat Door Aashyaana Tha

Qateel Tujh Ko Mili Hai Isi Lye Shohrat
Ke Tu Samaaj Ki Tanqeed Ka Nishaana Tha

Re: QaTeeL SHiFai

						Yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango 

apne hi gale k liye talwar na maango

gir jao ge tum apne masiha ki nazar se
mar kar bhi ilaj-e-dil-e-bimar na maango

khul jayega is tarah nigahon ka bharam bi
kanton se kabhi phool ki mehkar na maango

sach bat pe milta hai sada zehar ka pyala
jeena hai to phir jeene ka izhar na maango

us chiz ka kya zikr jo mumkin hi nahin hai “Qateel”
sehra mein kabhi saya-e-diwar na mango

Re: QaTeeL SHiFai

Ay Kaash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun
Jab Tais Koi Chamkay Mein Tujhko Dikhai Dun

Jis Roz Kubhi Tera Deedaar Na Ho Paaye
Mein Apni Hee Aankhon Ko Naabeena Dikhai Dun

Re: QaTeeL SHiFai

Halaat Ke Qadmon Pe Qalandar Nahin Girta
Toote Bhi Koi Taara To Zameen Pe Nahin Girta

Girtey Hain Shaboh'rooz Samandar Mein Daryaa
Lekin Kabhi Samandar Mein Daryaa Nahin Girta

Re: QaTeeL SHiFai

Re: QaTeeL SHiFai

http://1.bp.blogspot.com/_w5T0lc7ByV4/TDHKEaYMEzI/AAAAAAAAARA/bpPiyvdb7Hw/s1600/pareeshan_raat_saari_hay.jpg

Re: QaTeeL SHiFai

nice sharing :crying:

Re: QaTeeL SHiFai

http://i40.tinypic.com/wl8vpj.jpg

Re: QaTeeL SHiFai

Tum to shayar ho Qateel aur wo aam sa shakhs
Uss ne chaha bhi tujhe aur jataya bhi nahin

:lajawab: Shayaron ke paas jatane ke ilawa hota bhi kia hai

Re: QaTeeL SHiFai

nice sharing

Re: QaTeeL SHiFai

Kari Tanhaiyon Ko Humsafar Kehta Raha Hoon Main
Khiyal-e-Yaar TujhKo Mautbar Kehta Raha Hoon Main,
**
**Karaya Shaam-e-Furaqat Ne Taruf Ek Niya Is Ka
Woh Ek Dariya Ko Jisko Chashm-e-Tar Kehta Raha Hoon Main,

Wahaan Bhi Log Apni Kirchiyaan Cunte Nazar Aaye
Jahaan K Pathron Ko Be Zarar Kehta Raha Hoon Main,

Nazar K Zawiye Tabdeel Kar Dete Hain Kuch Chehre
Woh Qatil Tha Jise Jaan-o-Jigar Kehta Raha Hoon Main,

Sila Ab Aur Kiya Maango “Qateel” Apni Ebadat ka
Yehi Meri Jannat Jis Ko Ghar Kehta Raha Hoon Main..

Re: QaTeeL SHiFai

may ALLAH bless him in peace

Re: QaTeeL SHiFai

angrai par angrai leti hai rat judai ki
tum kya samjho tum kya jano bat meri tanhai ki
**
**kaun siyahi ghol raha tha waqt k bahte dariya mein
main ne ankh jhuki dekhi hai aj kisi harjai ki

wasl ki rat na jane kyun israr tha unko jane par
waqt se pahle dub gae taron ne bari danai ki

urte urte as ka panchi dur ufaq mein dub gaya
rote rote baith gai awaz kisi saudai ki

Re: QaTeeL SHiFai

main ne pucha pahla patthar mujh par kaun uthayega
ai ik awaz k tu jis ka mohsin kahlayega

puch sake to puche koi ruth k jane walon se
roshaniyon ko mere ghar ka rasta kaun batayega

logo mere sath chalo tum jo kuch hai wo age hai
piche mur kar dekhne wala patthar ka ho jayega

din mein hanskar milne wale chehre saf batate hain
ek bhayanak sapna mujh ko sari rat darayega

mere bad wafa ka dhoka aur kisi se mat karna
gali degi duniya tujh ko sar mera jhuk jayega

sukh gai jab in ankhon mein pyar ki nili jhil 'Qateel'
tere dard ka zard samandar kahe shor machayega

Re: QaTeeL SHiFai

:k:

Re: QaTeeL SHiFai