My favourites :k:
Bohat Khoob :)
**
maiN apanee zaat meiN nelaam ho rahaa hooN 'Qateel'
Gham-e-hayaat se kah do Khareed laaye mujhe
**
Both are superb.
Buhat Khoob:k:…
…
Beautiful selection… :k:
Adding another master piece of Qateel Shifai…
Pyaas woh dil ki bhujaane kabhi aya bhi nahee
Kaisa baadal hai jiska koi saaya bhi nahee
Berukhi is se bari aur bhala kya hogi
Ek muddat se humein us ne sataaya bhi nahee
Roz aata hai dar-e-dil pe woh dastak dene
Aaj tak humne jissay paas bulaaya bhi nahee
Sun liya kaise Khuda jaane zamaane bhar ne
Woh fasaana jo kabhi hum ne sunayaa bhi nahee
Tum tu shayyar ho ‘Qateel’ aur woh ek aam sa shaks
Us ne chaaha bhi tujhe aur jataaya bhi nahee
SHUKRIA
SHUKRIA APP SUUB KA
nice selection :k: