Bohat dinon say nahi apnay durmiyan wo Shaks
Udaas kur kay hamein chul diya kahan wo Shaks
Wo jis kay naqsh-e-qadm day chiragh jaltay thay
Jalay chiragh tu khud bun gaya dhuwan wo Shaks
Us Aik shaks mein theen dilrubai-yaan kia kia
Hazar log milien gay mgr kahan wo Shaks
Chupa liya hai jisay put jhar k zurd patoon nay
Abhi tuk hai baharoon mein hakmaran wo Shaks
Qateel* kaisay bhulayein ehl-e durd hum Ussay
Diloon mein choor gaya apni Daastaan wo Shaks