Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech

**Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech
Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar k beech

Apni poshak k chin jany pe afsoos na kar
Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech

Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugalty rahy akhbar k bech

Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na mily
Sholy ugtay nazar aay mujhy gulzar k bech

dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
sar kasheeda mira saya saf-e-ashjar k bech

Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gya insaN inhe afkar k bech

Dekhy jaty na thy aanso mry jis say Mohsin
Aj hansty howy dekha usay aghyar k bech,**

Re: Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech

wah boht he khooob.............lajawab....

Re: Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech

**Apni poshak k chin jany pe afsoos na kar
Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech

:(

jo maange usse wo de do.. jaan bachi so lakhon pae
**

Re: Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech

Matlab…BahaDur Singh banny ka zamana nhi raha …?:hmmm: