~Qatal chuptay thay kabhi sang ki deewar k beech~

Qatal chuptay thay kabhi sang ki deewar k beech
Ab to khulnay lgay maktal bharay bazar k beech

Apni poshaak k chin janay pay afsos na kr
Sar salamat nhi rehtay yahan dastaar k beech

Surkhiyan aman ki talqeen mein masroof rahin
Huroof barood ugaltay rahay akhbar k beech

Kash is khawab ki tabeer ki mohlat na milay
Sholay ugtay nazar aaye mujhy gulzar k beech

Dhaltay suraj ki tamazat ne bikher kr dekha
sar kasheeda mila saya saf-e-ashjaar k beech

Rizq, malboos, makan, saans, marz, qarz, dawa
Munqasim ho gya insan inhi afkaar k beech

Dekhay jatay na thay meray ansoo jis se Mohsin
Aj hanstay huay dekha usay aghyaar k beech

Mohsin Naqvi

Re: ~Qatal chuptay thay kabhi sang ki deewar k beech~

Rizq, malboos, makan, saans, marz, qarz, dawa
Munqasim ho gya insan inhi afkaar k beech

:k:

nice.. :k:

Re: ~Qatal chuptay thay kabhi sang ki deewar k beech~

Nice.

ap yahan kia ker rhy ho :eek::eek:

Re: ~Qatal chuptay thay kabhi sang ki deewar k beech~

^Haha. Q ? Ma nhe aa sakta kya? Akhar mary b tou jazbat han..

Re: ~Qatal chuptay thay kabhi sang ki deewar k beech~

jo yahan aai usko poetry post kerny ki saza milti hy:cb:
chalo bhugto fer :aj:

Re: ~Qatal chuptay thay kabhi sang ki deewar k beech~

^That iz my poetry.
Gulabi ankhain jo tari dakhin. Shrabi ya dil ho gay. Sambhalo muj ko o mary Yaroooo, sambhlna mushkil ho gaya. (Wah wah

Re: ~Qatal chuptay thay kabhi sang ki deewar k beech~

Rizq, malboos, makan, saans, marz, qarz, dawa
Munqasim ho gya insan inhi afkaar k beech

:lajawab:

ye aap ki pasandeeda ghazal nahin?

Re: ~Qatal chuptay thay kabhi sang ki deewar k beech~

ji aaya nu… jam jam aao… :welcome:

Re: ~Qatal chuptay thay kabhi sang ki deewar k beech~

pasandeeda to bht sari hain, jagah bun gye to adjust kr dun gi isay wahan :smiley:

Re: ~Qatal chuptay thay kabhi sang ki deewar k beech~

haan 10 main selction karna mushkil hai :)

Re: ~Qatal chuptay thay kabhi sang ki deewar k beech~

Gunda gerdi rocks :D