Qasmein waade pyar wafaa sab, baatein hain baaton ka kya
Koi kisi ka nahi yeh jhootey, naatey hain naaton ka kya..
Hoga maseeha saamney terey, phir bhi na tu bach paaye ga
Tera apna khoon hi aakhir tujh ko aag lagaaye ga
Aasmaan pe urney waaley, mitti mein mil jaaye ga
Sukh mein terey saath chalein ge, dukh mein sab mukh morein ge
Duniya waaley tere ban kar, tera hi dil torein ge
Detey hain khuda ko dhoka, insaan ko kya chorein ge…