qariib maut khaDii hai zaraa Thahar jaao

qariib maut khaDii hai zaraa Thahar jaao
qazaa se aaNkh laDii hai zaraa Thahar jaao

thakii thakii sii fazaayeiN bujhe bujhe taare
baDii udaas ghaDii hai zaraa Thahar jaao

nahiin ummiid ki ham aaj kii sahar dekhen
ye raat ham pe kaDii hai zaraa Thahar jaao

abhii na jaao ki taaron kaa dil dhaDakataa hai
tamaam raat paDii hai zaraa Thahar jaao

phir is ke baad kabhii ham na tum ko rokeinge
laboon pe saaNs aDii hai zaraa Thahar jaao

dam-e-firaaq mein jii bhar ke tum ko dekh to luuN
ye faisale kii ghaDii hai zaraa Thahar jaao

Re: qariib maut khaDii hai zaraa Thahar jaao

hmmm