Meray JunooN kaa CharaaGH JaL kar ,
mujhay jala kar Ujarr geya hay
Fasaad-e-Jaan kii jo Zad mein Aaya,
wuh Dil tou Mujh say BicheR geya hay
Wuh Itnaa daana, wuh itna Zeerak,
keh baaT Sunenay say pehlay jaanay
Wuh Shab- Gazeedah, Udaas Raahi,
khud apnay Dil say hi darr geya hay
Kaii ZamaaNon mein Reh kay Ussnay
kaii Zamaanay kay Raaz jaanay
Abhi TalaK tou tha saath meray,
abhii Najaanay kidher geya hay
Qareeb Aa kar jo kucH na samjha,
tou DooR jaa kar kaha tha ussnay
Teray badan ki Udaas baaton say
Ik badan aur Ujar geya hay
BahaaR Rutt mein, KhazaaN gazeedah
GhulaaB khiL kar na Mehak paae
ChamaN kii Aankhon mein Be-bassi hai
keh Baagh sara Ujarr geya hay
Wuh kachii Mehandii sajaa kay HaathoN mein,
Maang jeewan say bharr rahi hay
Tu jis SaFaR peh hay saath usskay,
wuh Rastaa aagay say muR geya hay
Mein apnay baaray mein kya bataaoun
keh kitnay saalon mein ghut geya huuN
Magar koi yeh bataa raha hay,
keh DiL humaraa Uder geya hay
Wuh Naam jiss ka kabhii Thaa ~KhaliD~
Azaab-e-UlfaT mein Mubtalah hay
BanoN mein phirta hay maara maara,
Musaafton mein bikher geya hay
Re: ~~ Qareeb Aa kar jo kucH na samjha~~
kis kei barei batt kar rahie hein jee:hehe: 
nikii
3
Wuh kachii Mehandii sajaa kay HaathoN mein, Maang jeewan say bharr rahi hay
Tu jis SaFaR peh hay saath usskay, wuh Rastaa aagay say muR geya hay
Mein apnay baaray mein kya bataaoun keh kitnay saalon mein ghut geya huuN
Magar koi yeh bataa raha hay, keh DiL humaraa Uder geya hay
Wuh Naam jiss ka kabhii Thaa ~KhaliD~ Azaab-e-UlfaT mein Mubtalah hay
BanoN mein phirta hay maara maara, Musaafton mein bikher geya hay
bhut khoob gul ji :k:
Amal
4
Re: ~~ Qareeb Aa kar jo kucH na samjha~~
Bohat hi khoobsoorat GuL-e-Tasbeeh:k:…thanx for this beauty:)
cheharaa meraa thaa nigaahe.n us kii
Khaamushii me.n bhii vo baate.n us kii
mere chehare pe Gazal likhatii ga_ii.n
sher kahatii hu_ii aa.Nkhe.n us kii
shoKh lamho.n kaa pataa dene lagii.n
tez hotii hu_ii saa.Nse.n us kii
aise mausam bhii guzaare ham ne
subahe.n jab apanii thii.n shaame.n us kii
dhyaan me.n us ke ye aalam thaa kabhii
aa.Nkh mahataab kii yaade.n us kii
faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
aa.Ndhiyaa.N merii bahaare.n us kii
niind is soch se TuuTii aksar
kis tarah kaTatii hai.n raate.n us kii
duur rah kar bhii sadaa rahatii hai
mujh ko thaame hue baahe.n us kii
nice one Gul-e-Tasbeeh:)
Re: ~~ Qareeb Aa kar jo kucH na samjha~~
[QUOTE]
*Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *
Fasaad-e-Jaan kii jo Zad mein Aaya,
wuh Dil tou Mujh say BicheR geya hay
[/QUOTE]
khobsorat nazm Gul ... thanks for sharing