Talaash-e-manzil ke marhalon mein ye haadsa ik ajab dekha
Fareb raahon mein beht jaata hai soorat-e-aitebaar ban kar
Ye kya qayaamat hai baghbaanon ke, jin ki khaatir bahaar aayi
Wohi shagoofe khatak rahe hain tumhaari aankhon mein khaar ban kar
Bahaar ki badnaseeb raatein bulaa rahi hain, chale bhi aao
Kissi sitaare ka roop le kar, kissi ke dil ka qaraar ban kar