Qafus Apnay Apnay

**Qafus Apnay Apnay
**
Koi tanha jab bhi hota hai
Koi InsaaN tab hi hota hai

Jab bhi daikhta hooN chayhroN kay samaNdar
Bus khauf daikhta hooN ya bayparwa paataa hooN
Yeh samaNdar ajnabi samjhay mujhay
Jab bhi baataiN ishq-o-daanai ki bataataa hooN

Yeh jaloos-e-beparwaa sadaaqat say door
Ahud unkay apni nasamjhi pay maghroor

Gar suljhay nahi insay zeest kay taqaazay
ChorayN raah-e-ilm aur maNzar-e-ishq say bhaagaiN
MehfiloN maiN khud ko dubo kar yeh samjaiN-
Yahi zindagi hai ki soyaiN aur jaagayN

Aur udhar
Khaufzadon ka hai yeh nazaaraa
Khauf-e-namaloom kay aivuz ta umr
Kiya haram-o-dair main guzaaraa

KahiN butoN ki pooja kahin saleeboN ki baNdagi
Kahi azaanoN ka bharam kahiN kitaaboN maiN khudkushi

Khauf ko samajh kay bekhauf ho jaanaa
Hai uljhi karioN ka suljhaanaa
Hai ishq-o-ilm kay nau manaazir ka nazaaraa
Hai kai raah-e-daanaa ka khul jaaanaa

Jo baat karta hooN aisi quwwat ki
To nazar aati haiNhairut say taNgi aaNkhaiN
Beparwa aankhaiN aur sard jami aaNkain

Khilli uraataa hai beparwaa nighaahoN ka majmaa
Ya phir dastur-e-zabaaNbandi sikhaataa hai khuafzadaa

Meri talaash talaash aadmi ki
Khud maiN pinhaa raushni ki

LauNga baghhawat in khuaf kay ghulaamoN maiN
Aur ahsaas-e-zimmaydaari beparwaa maqaamon maiN


Meanings:
Beyparwaa-careless,Ishq-daanai-Love n intelligence, Sadaaqat-truth, Haram-o-dair-mandir n masjid, nau-manaazit-new milestones, Datur-zabaabaNdi- chup rehnay ka chalan,Pinhaa-chupa hua**