Qafas hai bus main Tumhare

قفس ہے بس میں تمہارے، تمہارے بس میں نہیں

۔ چمن میں آتش گل کے نکھار کا موسم

Re: Qafas hai bus main Tumhare

kuch be tarteeba sa lagta hai

Re: Qafas hai bus main Tumhare

Faiz Saheb ka shair hai.. Faisal Sabzwari ne tweet kia hai.. tarteeb ka koi masla nahin.. aap ghor se paRhen

Re: Qafas hai bus main Tumhare

Kuch khas samajh nhi aya waise mujhy :hmmm:

Re: Qafas hai bus main Tumhare

Poori ghazal hazir e khidmat hai

Rawish rawish hai wohi intazar ka mausam
Nahi hai koyi bhi mausam,bahar ka mausam

Giran hai dil pe gham-e-rozgar ka mosam
Hai aazmaish-e husn-e-nigar ka mausam

Khosha nazara-e rukhsar-e-yaar ki sa'at
Khosha qarar-e-dil-e-bayqarar ka mausam

Hadis-e-bada o saqi nahin to kis masraf
Kharam-e-abre sar-e-kuhsaar ka mausam

Naseb-e-suhbat-e-yaran nahin to kia kijiay
Ye raqs-e-saya-e-saro o chinar ka mausam

dil k daag to dukhte thay yun b per kum kum
kuch ab ke aur hy hijran-e-yaar ka mausam

Yahi jano ke, yahi tauq-o-daar ka mausam
Yahi hai jabr, yahi ikhtiar ka mausam

*Qafas hai bus main,tumharay bus main nahen
Chaman main atish-e-gul kay nikhar ka mausam
*

Saba ki mast kharaami tahe kamand nahin
Aseer-e-dam nahin hai bahar ka mausam

Bala se hum ne na daikha aur to daikhenge
Farogh-e-gulshan o soat e hazar ka mausam

Re: Qafas hai bus main Tumhare

**Qafas hai bus main,
tumharay bus main nahen
Chaman main atish-e-gul kay nikhar ka mausam

mujhy jo samajh ie hai k line#2 ka ta'aluq line#3 se hai

**

Re: Qafas hai bus main Tumhare

sahi samajh aai hai.. ab aap shair ko prose mat banaiye :p

Re: Qafas hai bus main Tumhare

mujhy nhi samajh aye bht mushkil shair hai, Faiz sahab ki personal life se related hai shyd :bummer:

Re: Qafas hai bus main Tumhare

Mujhe bhi 3-4 dafa padh kar samajh aay tha.. agar Faisal Sabzwari ne post nahin kia hota aur MQM ki current situation ka pata nahin hota to mujhe bhi samajh nahin aata

Re: Qafas hai bus main Tumhare


warna faiz sahb naraz ho jaein gy

Re: Qafas hai bus main Tumhare

MQM achi hint hy :k: pehli line to samajh a gye …

Re: Qafas hai bus main Tumhare

chalen main aasan kar deta hoon:

Qafas hai bus main, per tumharay bus main nahen
Chaman main atish-e-gul kay nikhar ka mausam

per izafai hai, iss se shair ke wazan per asar padta.. aur sakta bhi aa jata

Re: Qafas hai bus main Tumhare

baghair zehn pe zor deay asal matlab samajh nahin aata

Re: Qafas hai bus main Tumhare

Hmmm its helpful,but mujhy MQM se zyada jaldi samjh aye hai :D

Re: Qafas hai bus main Tumhare

facebook wali shayari padh kar mushkil shair samjhna mushkil hogaya hai :halo:

Re: Qafas hai bus main Tumhare

shukar hai samajh to aa gye

Re: Qafas hai bus main Tumhare

zehn pe zor dena mushkil ho gya hai

Re: Qafas hai bus main Tumhare

Nice

Re: Qafas hai bus main Tumhare

samajh aai? :5:

Re: Qafas hai bus main Tumhare

Aap ny tashreeh ki to hy…:slight_smile: