qabr kay Halat

qabr kay Halat

Rasool Kareem SAW ney farmaya hey kay jiss waqt murdey ko qabr mein dafan kartey hein tau qabr kehti hey aey ibn-e-adam! tu kis liye mujhey bhoola hoa tha, o kya tujhey yeh maloom na tha kay mein zulmat aur tanhai aur keerroon ka ghar hoon. aey ibn-e-adam kiss baat per bhoola hoa tha aur kis bartey per bhoola hoa tha jo mujh per eentheta hoa ek paaoon aagey aur ek peechey daal kar chalta tha pas wo murda agar saaleh hey tau iss tarah say koi farish jawab deta hey kay ay qabr! tu kehti hey, dekh yeh shakhs nek tha aur doosroon ko bhi nekiyaan batata tha.

nez hadees mein ward hey kay jab fasiq murdey ko qabr mein rakhtey hein tau uss per azab hona shuru ho jata hey. jissey maloom kar kay qurb-o-jawar kay murdey ussey awaz detey hein aur kehtey hein kay aey peechey aney waley tu tau hum say peechey aur hum tujh say pehley aey they. afsos tu ney humari maut say ibrat haasil kyun na ki. …afsos teri halat per kay tu bhi dunya ka waisa hi aashiq raha jaisay kay tujh say pehley log dunya kay aashiq rahey thay.

Allah miyan hum sab kay gunah maaf farmaye..or hum ko gunahon say bachny ki toofeeq ata farmyee
Ameen

isnt it scary

Refrecne?

Ameen.
Thanks for reminding.