Qabr e Iqbal say aarhi thi sada!!

Phool lay kar gaya,aya rota howa!!
Baat aisi hai kahnay ka yaraa nahi!!
Qabr e Iqbal say aarhi thi sada!!
Ye chaman mujh ko aadha gawara nhi!

Shahr e matam tha iqbal ka maqbra!
Khoon main lat pat kharay thay Liyaqat Ali

Rooh e qaid bhi sar ko jhoka’ay howay
Kah rahy thi ye kya ghazab ho gaya
Ye tasawur tu har giz hamara nahi
Ye chaman mujh ko adha gawara nahi

Qabar e iqbal say arhai thi sada..

Sar nigun tha qabar pay minar e watan
Kah raha tha k aey tajdar e watan
Ajj k no jawan ko bhala kya khabar
Kaisay qayim hoa ye minar e watan.

Jis ki khatir katay mard o zaan
On ki tasweer ha ye minara nahi!
qabar e iqbal say arhi thi sada!
Ye watan mujh ko adha gawara nahi!

Kuch aseeran e gulshan thay hazir wahan!
Kuch seyasi mahashy bhi mojod thay!
Chand tarun k parcham main liptay hoay!
Chand tarun k lashay bhi mojood thay!

Mera hansna tu pahly he ik juram tha!
Mera rona bhi on ko gawara nahi!!
Qabar e iqbal say arhi thi sada…

Kya fasana kahun mazi o haal ka
Shair tha ma ik,arz e bangal ka!
Sharq say gharab tak meri parwaz thi!
Aik shaheen tha ma zahain e iqbal ka!!

Aik bazoo pay urta hun ma ajj kal!!
Dosra dushmano ko gawara nahi!!
Qabar e iqbal say arhi thi sada!
Ye chaman.mujh ko adha gawara nahi!

Yun tu kahnay ko ghar ha salamat rahy!
Khench de ghar main dewar aghiyar nay!
Aik thay jo kabhi ajj do ho gay!
Tokray kar dala dushman ki talwar nay!
Sar nigun ho gay,sar figun ho gay!!
Jesay koi bhi reshta hamra nahi!

Kuch tumhri nazakat ki majboriun
Kuch hamari sharaft ki majboriun
Tum nay rokay muhabat k khud rastay
Is tarhan barhti gain dooriun!
Khol don tum pay raz e muhabat magar!
Teri roswaiun bhi gawara nahi!
Qabar e iqbal say arhi thi sada!
Ye chaman mujh ko adha gawara nahi!

Wo jo tasweer mujh ko dekhai gai!
Meray khoon e jigar say banai gai!
Qom e maao bahnoo ki jo abroo!!
Naqsha e asia pay sajai gai!!
Mor do abro,ya wo tasweer do!!
Hum ko hisun main batna gawara nahi!

Qabar e iqbal say arhi thi sada!!
Ye chaman mujh ko adha gawara nahi

Ye Chaman Mujh ko Adha Gawara Nahi Suqoot-e-Dhaka 1971.mp4 ](http://www.google.com.pk/url?sa=t&rct=j&q=&esrc=s&source=web&cd=4&cad=rja&ved=0CDwQtwIwAw&url=http%3A%2F%2Fwww.youtube.com%2Fwatch%3Fv%3D0FI8mcNTf3E&ei=ftS-UvHCE4entAa6_oDQDw&usg=AFQjCNEwXvuT4RJZgCm7uF8cLN-FAdi0pQ&bvm=bv.58187178,d.Yms)

Re: Qabr e Iqbal say aarhi thi sada!!

Sad ..but the way Bengalis behave with Pakistanis is :/

Sad...

Re: Qabr e Iqbal say aarhi thi sada!!

The way we behaved with them is also not up to mark

Re: Qabr e Iqbal say aarhi thi sada!!

Losers are at both sides

Re: Qabr e Iqbal say aarhi thi sada!!

Good one :jhanda: