!!!Qabl Iss Ke Ye Saara Silsila Be-naam Ho Jaaye

Qabl Iss Ke Ye Saara Silsila Be-naam Ho Jaaye
Ye Qissa Hai Adhoora Iss Ka Kuch Anjam Ho Jaaye

Zara Socho Kahani Mein Faqat Kirdaar Hum Tum Hon
Suhaaney Raston Pay Chaltey Chaltey Shaam Ho Jaay

Na Yoon Har Ekk Ko Daikha Ker Ke Har Dil Khaas Ho Jaaye
Na Yoon Har Ekk Say Bhicarr Ke.. Aziyat Aam Ho Jaaye

Hawao! Uss Ki Khushboo Damanon Mein Bhar Ke Ley Aao
Woh Jo Raston Say Guzrey To Humein Ilhaam Ho Jaaye

Yehi Dastoor-e-Duniya Hai Yehi Har Baar Hota Hai
Koi Mash-hoor Ho Jaaye Koi Gumnaam Ho Jaaye …!

Re: !!!Qabl Iss Ke Ye Saara Silsila Be-naam Ho Jaaye

Achi selection hey aap ki… :k: … Thanx for sharing it with us :slight_smile:

Re: !!!Qabl Iss Ke Ye Saara Silsila Be-naam Ho Jaaye

Nice one :k:

Re: !!!Qabl Iss Ke Ye Saara Silsila Be-naam Ho Jaaye

sorry cute abi mi bar bar pehly wale nazm parh k os k mazay le rahe hun

yi vali kal parhun gi ,vo mujy bohat pasan ae hi:sheen:

Re: !!!Qabl Iss Ke Ye Saara Silsila Be-naam Ho Jaaye

aap sab ka is ko pasand karnay pay bohat bohat shukria.......meri yehi koshish hoti hai k jo shairi meray forum k sathi dil say pasand karin usi ko publish karoon...yakeen maniyay aap sab ki tareef mujhay achi si achi poetry aap logon k samnay paish karnay pay uksati hai......

Re: !!!Qabl Iss Ke Ye Saara Silsila Be-naam Ho Jaaye

CUTE !mujy to dusron ka nahi pata,par mujy tomare pasand bohat pasend hi
shayad mare nature se bohat qareeb,mujy to yun b maza aata hi k mare pass urdu ki koe book nahi to jab mare mazag k mutabaq jis din parhney ko mil jata hi ,mare ti EID ho jate hi,abi b mi tomare bheji nazm hi PARHNEY ae thi,promise yi valee kal parhongi,aj nahi:hehe:sorry han?

Re: !!!Qabl Iss Ke Ye Saara Silsila Be-naam Ho Jaaye

shukriya!

Re: !!!Qabl Iss Ke Ye Saara Silsila Be-naam Ho Jaaye

"Zara Socho Kahani Mein Faqat Kirdaar Hum Tum Hon
Suhaaney Raston Pay Chaltey Chaltey Shaam Ho Jaay"

kya baat hai jnab apki...