Har haseen chehray sey barh ker pyara laga mujhe
Who shaks ajnabi tha per apna laga mujhe
Yeh kis ney mujhe mujh sey hi dour ker diya
Bus eik pal mein mein har apna paraya laga mujhe
Yeh kya hua key har soo bikhrey hazar rang
Sab kuch wahi hai per kyun naya sa laga mujhe
Uss ney kaha tha saath chalein gey tammam umer
Agar such tha who to aaj kyun, beygana laga mujhe
Ajub si tashangi thi uss ki aankhoun mein chuppi hui
Har shidatoun key saath who deewana laga mujhe
Ta deyr kaun ruka hai kisi key liyay “Khan”
Abb souchoun bhi to har qissa , fasana lagey mujhe