Pyar

Ab kisi sey kabhi pyar karna nahi janay kaisay badal jaatay hain jo thay apnay kabhi zindagi nay jis pay bhi bharosa kiya har qadam par usnay mujhay dhoka diya aisay jeenay sey kya faida kiya hai yeh zindagi ab talak jitnay bandhan thay sab torr doon jee yeh chahay kah sara jahan chorr doon main nay samjha jinhe humsafar ban gaye ajnabi mein chahti the kya aur kya hogaya mera mehboob mujh sey khafa hogaya sapna dikhlake mujhasey juda hogaya aisa socha na tha hadsaa hogaya mujh pay beeti jo aaj dohraongee saari duniya ko aaj batlaongee Jo mohabbat ka anjam hai kaash sochay koi Ab kisi sey kabhi pyar karna nahi janay kaisay badal jaatay hain jo thay apnay kabhi

Oops :smack2: sorry, mujhay yeh poetry intikhaab forum main post karni thee, main nay ghalati sey yahan kardi :smack:

Re: Pyar

Bohat Khoob jee beatiful well done my dear :k: :french:

acchi si dania
jazbaat ka izhaar nazm k zariay khoob kia
khush rahen

Koyee baat nahi agar Mods ko bura na lagay tu

bohat acha intakhab hai