Ye mizaaj e yaar ko kya hua,
Unhain pyar hai mujh se aaj kal,
Meri justujo meri guftagoo,
Mera intzaar hai aaj kal,
Isy qatal kar, usy qatal kar,
Tujhe saath khoon mua’f hain,
Teri saltanat
Tera dabdaba,
Tera iqtedaar hai aaj kal,
Ary “Kaif” kal to tu rind tha,
Mere yaar tujh ko ye kya hua,
Mera mazhabi,
Bara paarsa,
Bara deen’daar hai aj kal..!!