pyaas voh dil ki.....

pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii nahin
kaisaa baadal hai jiskaa koi saayaa bhii nahin

beruKhii is se barii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hamein us ne sataayaa bhii nahin

roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamne jise paas bulaayaa bhii nahin

sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamne sunaayaa bhii nahin

tum to shaayar ho ‘Qateel’ aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii nahin

wah wah.... bhut khoob

Re: pyaas voh dil ki.....

[QUOTE]
*Originally posted by waseemzks: *
pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii nahin
kaisaa baadal hai jiskaa koi saayaa bhii nahin

beruKhii is se barii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hamein us ne sataayaa bhii nahin

roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamne jise paas bulaayaa bhii nahin

sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamne sunaayaa bhii nahin

tum to shaayar ho 'Qateel' aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii nahin
[/QUOTE]

  wow so sweet mr waseem , achee selection hey aap ke .

           i like it  , waqee buhat ache lage hey mein ney apne diary mein bhee note ker lee hey . umeid hey keh aap next bhee ise tarah sey ache poets likhtet rahoo gey .
             Thanx 4 sharing.