Pyaar ke samandar main
Har utarney waaley ko
Kashtiyaan nahiin miltein
Door door tak janaan
Dhoop ki musaafat hai
Aur kaheen bhi pal bhar ko
Dhoop ke musaafir par
Saaye’baan nahiin khultey
Is ajab samandar main
Umr ki reyaazat kay bad ham nay jaana hai
Jis tarha fizaaon main
Urney waaley panchi par
Bars ha baras main bhi
Aasmaan nahin khulta
Hijr-e-beykaraan main bhi
Bhaid, bhaid rehta hai
Raazdaan naheen miltey
Baam-o-dar naheen khultey
Har utarney waaley ko
Kashtiyaan naheen miltein
Aor mil bhi jaayein to baadbaan nahin khultey
Pyaar ke samandar main
Bhaid bhaid rehta hai
Re: Pyaar ke samandar main
v.nice...
Re: Pyaar ke samandar main
v,v,good as always
Re: Pyaar ke samandar main
superb...
Re: Pyaar ke samandar main
thanks all
Re: Pyaar ke samandar main
achi hy but........end kuch tishna sa laga....
Re: Pyaar ke samandar main
nice g