Pyaar ke deep jalaaney waaley kuch kuch pagal hotey heiN...

**Pyaar ke deep jalaaney waaley kuch kuch pagal hotey heiN
apni jaan sey jaaney waaley kuch kuch pagal hotey heiN

hijr ke gehrey zakhm miley to mujh ko ye ehsaas huwa
pagal ko samjhaaney waaley kuch kuch pagal hotey heiN

jaan sey pyaarey logoN sey kuch kuch pardah laazim hey
saari baat bataaney waaley kuch kuch pagal hotey heiN

khaaboN meiN bhi pia-milan ke sapney deikhtey rehtey heiN
neendoN meiN muskaaney waaley kuch kuch pagal hotey heiN

is jhooti nagri meiN hum ney yehi hamesha deikha hey
sachi baat bataaney waaley kuch kuch pagal hotey heiN

pyaar jinhey ho jaey unko chein bhala kab mil paata hey!
shab bhar ashq bahaaney waaley kuch kuch pagal hotey heiN

apni zaat ke ujrrey gulshan se wo pyaar kahaN kartey heiN!
auroN ko mehkaaney waaley kuch kuch pagal hotey heiN

us ke ishq meiN bheeg ke Wasiq hum ko ye ehsaas huwa
dil ki baat meiN aaney waaley kuch kuch pagal hotey heiN
**

Re: Pyaar ke deep jalaaney waaley kuch kuch pagal hotey heiN...

very Nice amal bhai :-)

Re: Pyaar ke deep jalaaney waaley kuch kuch pagal hotey heiN...

very nice

Re: Pyaar ke deep jalaaney waaley kuch kuch pagal hotey heiN…

Zabardast Amal …:k:

Re: Pyaar ke deep jalaaney waaley kuch kuch pagal hotey heiN…

bht khoob :k:

Re: Pyaar ke deep jalaaney waaley kuch kuch pagal hotey heiN…

Bohat Khoob Amal..:k:

Re: Pyaar ke deep jalaaney waaley kuch kuch pagal hotey heiN...

Niceeee:)

Re: Pyaar ke deep jalaaney waaley kuch kuch pagal hotey heiN...

bohat baar paRhi huwi hai Amal.. share karnay ka shukriya :-)