Pyaar kisi sy kab hota hy ?
Jab hona ho, tab hota hy
Pyaar ka kia matlab hota hy ?
Pyaar ka kia matlab hota hy ?
Pyaar ka matlab …
Rab hota hy
Koi mehsoos kerky to dekhy isy
Khoobsurat sy bhi khoobsurat hy yeh
Khushbo ban ky yeh sansoon mein ghul jata hy
Dil ki Be-Chainioon ki zaroorat hy yeh
Is ki dhadkan anjani si
Iska dard ajab hota hy
Pyaar ka kia matlab hota hy?
pyaar ka matlab…
Rab hota hy
Na subha ka pata, na khaber sham ki
Iski chahat mein hy bas nasha hi nasha
Koi many na many mager sach hy yeh
sab sy hoti hy ik bar aisi khata
Is ki Pyaas, pata chalti hy
Jab hontoon py lab hota hy
Pyaar ka kia matlab hota hy ?
Pyaar ka matlab…
Rab hota hy
Pyaar kisi sy kab hota hy ?
Jab hona ho, tab hota hy
Pyaar ka kia matlab hota hy ?
Pyaar ka kia matlab hota hy ?
Pyaar ka matlab …
Rab hota hy