i want to continue my studies ,when my lil one was born i took a year off and now the semister is going to start,so i have to decide ,my lil one is 14 months old and i have no experience of day care.my hubby is not in favor of daycare neither am i ,but we dont have anyother option.
please tell me is the day care option bad? as my friends say that he will get neglected and its not healthy for him to growup in daycare.
I read only your post and replying.
I'm totally against about puting your child in daycare Whay?
Allah nain aap ko aulad say nawaza hai kisi aur kay paas dalnay kay liaay naheen. Allah nain naimat di hai so uski qadr karain. Allah tala her kisi ko is naimat say naheen nawazta. Lucky hotay hain wo loag jinko Allah aulad ki naimat say nawazta hai. Jis din aap ko yay baat samajh aa gai aap ka khud dil naheen chahyay ga kay aap apni zimmaydari ko chor kar kuch aur karain.
Pehlay bachcha paal lain jo aap kay ooper zimmaydari Allah nain aap ko chun kar daal di hai to usay palain. Degree lay kar kia karna. Agar degree laynay ka shauq tha to bacha hi naheen paida karna tha ub jub kar liaa hai to us buchchay ko sahi say palna aur tarbeeat dena hi aap ki sub say bari degree hai.
Ki chund aik saal bhi intezar naheen kar sakteen kay jub bachcha zara samajhdar ho jaay yani kum uz kum 5 ya 6 saal agar aap kay liaay degree hi itni aham hai to.
Agar yahan private degree laynay ka option hain to ghar main parh kar degree jama karain jitna karna ho laikin buchchay ko kaheen daal kar naheen apnay paass rakhtay huway.
I'm totally against in buchcha paida kar kay kisi aur ki jholi main phaink dena. Ya apni zimmaydari kisi aur kay sir daal dena sirf apni shauq ki khatirr.
Bachchay pay bhi bura asar ho ga her lihaz say physically and emotionally.