Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
Beethi muth tai khlotee gith
choti height wali aurat ko kehtay hain
baithi hui muthi k jini lagti hai aur kharri ho to geeth(small finger to thumb) k jitni, geethi ko urdu main kia kehtay hain?
JaWayei Joyan dey chaa, jithey na bavey kutaa tai na bavey kaaa
jamayee ki shaikhian/chonchlay jo apnay susural k ghar main karta hai oon ka mazaq urraya gya hai
Jiyaaa Mo Jayee chupper
jaisa monh wesa thapparr
Shateer bunn kai doya banariya
eski kuch sai samjh nai aae, doya word kabhi suna ya parha nahi punjabi main
btw, Shateer bunn-na= chhat bandhna aur banariya= mundeerain
** phophi tey patrayee, aik hey kurr dey bi**
phoophi aur bhateeji, 2 rishta daron ki aik jaisi fitrat.
chorr/challey no na maro udhey maa no marro
problem ki cause ko khatam karen problem khud hi khatam ho jaye gi
chorra dey kaprey tai danga dey guzz
this one is my favorite.
chor se zayada chori ki ghatthri ko jaldi hai
example: Nawaz shrif nai abhi hulf uthaye nai aur koe politicin nawaz shrif se kahay “mujhe pehlay wazarat dy dain”
last wala ghalt ho gya,
ye “Chor naalon pand kahli” ke explaination hai
chor se zayada chori ki ghatthri ko jaldi hai
example: Nawaz shrif nai abhi hulf uthaye nai aur koe politicin nawaz shrif se kahay “mujhe pehlay wazarat dy dain”
chorra dey kaprey tai danga dey guzz
haram ka ya muft ka maal be-dili se taqseem karna
TS
June 17, 2013, 2:13pm
102
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
Bi is beej. What is kurr ?
What does challay mean ?
TS
June 17, 2013, 2:15pm
103
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
last wala ghalt ho gya,
ye “Chor naalon pand kahli” ke explaination hai
chor se zayada chori ki ghatthri ko jaldi hai
example: Nawaz shrif nai abhi hulf uthaye nai aur koe politicin nawaz shrif se kahay “mujhe pehlay wazarat dy dain”
chorra dey kaprey tai danga dey guzz
haram ka ya muft ka maal be-dili se taqseem karna
Bai-dili se ya faraakh-dili se ? Choon-keh haraam ka/muft ka maal jo hai.
Unn ka guzz, Daang baraabar ya’ni bohot baRa ho gaya.
And shouldn’t it be ‘chori de chapRay’ ?
TS
June 17, 2013, 2:18pm
104
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
Jolaahay diyaan mushkariyaan [mas-khara-pun] maan, payN naal.
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
ye main mere dada jaan se suna tha
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
muqa, punjabi main to muhawron k bohat aam istemal hota hai, sindhi main bhi aisa hi hai?
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
Bai-dili se ya faraakh-dili se ? Choon-keh haraam ka/muft ka maal jo hai.
Unn ka guzz, Daang baraabar ya’ni bohot baRa ho gaya.
And shouldn’t it be ‘chori de chapRay’ ?
aap sahi keh rahy hain, be-draigh b mozoon hai
es pe asal main punjabi word “annhay wah” fit ata hai
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
Yes. I was going to ask that whether there are compilation of Punjabi Proverbs in book form? In Sindhi, there are dozen of books on this topic and research have been done wherefrom these proverbs came.
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
gharibaan rozay rakhey din wadey aye
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
punjabi litrature main bohat se proverbs main nai parhay huway hain lekn yaad bohat kam hain, oon main se bohat thoray hain jo yahan share kiay hain or wo bohat kam istemal hotay hian, roz marah zindgi main.
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
Aata gunddey hildi kyoun aein
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
Thoak Naal Wariyaan Pakana…
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
Zaat Di Koarr Kirli Te Chateeraan Nu Japhay
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
Uchcharr Kuri Te Shehr Tad’houra
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
Waillee Runn Parauneyaan Jogi
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
annah maray annhi nu kosonn(muqqa) wajjay thammi(pillar) nun
andhay andhi ko marnay ko koshash karta hai leken lagti pillar ko hai.
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
***Annaa Wanday Reyorian, Murr Murr Apneyaan Nu ***
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
Nawaan Aik Din Purana Sau Din
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
Wailee jati unn wailay
Re: Punjabi Muhawray, Kahawat
Parauneyaan=??