**pani k ik qatray main
jab sooraj utray
rangon ki tasveer banay
dhanak ki saaton qosain
apni banhain yun phelain
qatray k nannay se badan main
rangon ki duniya khinch aye!!
mera b ik sooraj he
jo mera tan chor k muj main
qos_e_qazah k phool ugaye
zara bi us ne zawiya badla
or main ho gayi
pani ka ik sada qatra
bey manzar,bey rang!
**