Ya Allah Pakistan ko woh jannat banay day jiss kay khawab hamaray aba o ajdaj nay daikhay thay. Is ko dusmanoon key nazr a bud say bacha. Ya Allah iss kay hukmaranoon ko woh qabliat aur taqat day k woh insaaf ka bol bala kar sakain. Ya Allah toh Raziq hay , teray khazaoon key koi hud nahi , in khazoon kay monh khol day ta kay Pakistan say gurbat , jahiliat aur bemmrion ka khatma ho ja-a. Ya Allah Pakistan say her qasm key soba-e , mazhabi, lisanee asbeyiat ka khatma kar aur iss kay awaam main aik dosray kay lee-a mohabbat paida kar. Ya Allah Pakistan say nafsa nafsi , apa dhapi , rishwat satani , chor bazarey , her qazm kay jaraim ko khatam kar day.
Ameen , Suma Ameen.
Inshallah.