Practicing or Appearing?

Re: Practicing or Appearing?

TLK ..

Guzara say kia mutlub ? yanee is terah app yeh tasale day saktay ho k hijab na kerna or beard na rakhna yeh aisa ammal nahi k jis per gunnah ho raha ho ?

yane yeh dono ahkaam aysay hain jis main muslims ko choice dee gayee hay k app chaho to ker lo na chaho to Gunnah nahi..

( mere bat ko sirf islami ahkaam jis terah shareyat main warid hain un ki haqeeqat per rakhain ..is cheez per bat nahi ker rahee k jo log yeh apperence rakhtay hain woh us say naik or jo nahi kertay woh gunahgar hotay ..WOh Allah or banday ka muamla hay ..)

**or yeh jo app nay RULE likha hay kissi cheez ki ahmiyat is terah maloom ho sakte hay k majboore ki halat main kia zaroore hay ..to phir

**jaan ka khatra ho to kalima-e-kuffar ka zuban say iqrar bhi jaaiz hay

yane yeh sabit ho gaya … k insan bus dil main iman ka iqrar ker lay or zuban say na keray ?

app ki saree baat qyasaat per hay k falan condition per falan ki qyaas ker lo

lakin main sirf yeh arz keroon gee…qyaaas kernay k kuch asool hain ..is terah ik maslay ko dosray maslay per qyaas ker k app ik dam nateeja nahi nikal saktay

**hazrat Ali razi Allahu tanha ka qool hai

agar Deen ki bunyaad Aqal per hotee to massah alal Khuf’fain khuff kay neechay hota na k opper

**

its change all thread theme

just one thing i want to say ..Conditions say agar app kissi islamic order ki IMP ko choose kerain gee k normal life main is ko iktyaar ker lain

to yeh namumkin hain ..wohe condition jo TLK ko dee app ko bhi dayte hoon

islamtojaan bachanay k ley kalam-e-kuffar keh daynay ki bhi rukhsat dayta hai ..kia app is condition say yeh choose ker lain gee
k muslman honay k ley zaban say imam ka iqrar bhi imp nahi sirf dil main maan lay ??