Re: Post your funny poetry
Naey bandaroN ko dekhein to khushi hoti hai
Hum bhi aesay hi thay jab aaey thay insanoN mein
Re: Post your funny poetry
Naey bandaroN ko dekhein to khushi hoti hai
Hum bhi aesay hi thay jab aaey thay insanoN mein
Re: Post your funny poetry
yaar sher kaa qafiya aur wazan theek karo naa..
Naye bandaroN ko dekhaY saY jo hoti hai khushi haasil
phir yaad kaY dariyaa maiN maazi saa phiraY hai ![]()
Re: Post your funny poetry
Rai hay to Pahaar bana Par hay parwaana bana shukar hay dumm nahi na hi main haiwaan baan :$
Karty hain kashto khoon insan ka ju insan
Haiwzn bhi dykh ky on ko hoty hain hyran
Re: Post your funny poetry
yeh tau kuttaY kaY baaraY maiN kahaa gayaa thaa ;-) remember?
TeraY deewaan kaY auraaq saY jalaayaa choolha hum naY phir bhee pooriyaaN hum naY khaayeeN thee halwaai kee
-AQ
hy ray wo 'kuttay' kahan gayay wo kuuttay... kiss nay kha liay wo kuttay...
haan kuttay k baaray main kaha tha, lekin kutta ka bhi dil, kia wo kabhi bandar nai hosakta ? aakhir ham insaan kab in masoom janwaron par pabandian lagatay rahaingay ? kia kisi kuttay ko bandar bhi bannay ka haq nai ? :-(
meray dewaan kay aoraaq nahi wo mera lahoo thay
tu bhi aik insaan nahi bara kanjoos hay .. hoonh
Re: Post your funny poetry
please, do not be serious…
itnaY sanjeedaa sher woh mehfil maiN sunaataY challaY gaye
hum tau beThay thaY kaY hasi uRaayeN geY tanhaai kee ![]()
-AQ
Re: Post your funny poetry
Naey bandaroN ko dekhein to khushi hoti hai Hum bhi aesay hi thay jab aaey thay insanoN mein
Thay ka na karo tum istemaal galat insha ji
Jo hay so hay iss main sharmaana kaisa ;-)
Re: Post your funny poetry
kia kisi kuttay ko bandar bhi bannay ka haq nai ? :-(
shaayad baRa ho kar bun jaaye :)
Re: Post your funny poetry
Thay ka na karo tum istemaal galat insha ji
Jo hay so hay iss main sharmaana kaisa ;-)
hahaha
Re: Post your funny poetry
Karty hain kashto khoon insan ka ju insan Haiwzn bhi dykh ky on ko hoty hain hyran
Haiwaanon say kahain kay wo haiwaan hi rahain
Dukh kay iss daria ko dunnia kehtay hain
Re: Post your funny poetry
This thread now can be moved to Sho'ara-e-Gupshup Forum
Re: Post your funny poetry
Yeh keh raha tha maira haath parh k dastshanas
likhega tu kisi shair ki tarha betuka bakwas
touRa sa bhetar hogia i guess… ![]()
Re: Post your funny poetry
betuka naheeN..
betuki …
good one… you are a certified shair now :k:
Re: Post your funny poetry
**hum ne samjha tha samandar tum ko
thaa ka matlab tumhay aata hoga.. **
![]()
Re: Post your funny poetry
shaayad baRa ho kar bun jaaye :)
kiss nay daikhay hain iss TUNIA kay sab naseaib-o-faraaz
kissay maloom on jeeta hay kuttay kay jawaan honay tak :$
hahaha
hansa to phansa :$
Re: Post your funny poetry
**lol…
yaar ye prob kabhi theek nahi hogi/hoga… wahi khan saab wala qissa hai
once khan saab speech kar rahy theey and continously saying “hamara qoum, hamara qoum” kisi ne awaz de… khan sahib! “qoum” mounas hai… he replied “jao maRa tumhara qoum mounnas hogi hamara qoum muzzakar hai”
**
Re: Post your funny poetry
ham kppday and movement hogai mehfil main ![]()
Tabhi to kaha thaa ![]()
Re: Post your funny poetry
za om pakhtoon yam :-p
Re: Post your funny poetry
anyway, I only wanted to post my first entry about the one inspired by Wasi Hassan..
It was ASA and ATA for whom I posted here... I hereby go to my self imposed exile of Cafe' from this post..
it was nice to flood with you ATA after a long time ... 2000-2003 tukk kee yaadaiN taazah ho gayeeN....
Phir uss kaY baa'd chamchoN naY sanbhaali 'TUNIYA'
Hum tau challaY, huee ab Aq'L saY khaali 'TUNIYA'