**Post your fav shair**

hello every1

is thread main aye aur apnay apnay fav shairs postkaray :smiley:

wasay meri choice meray mood kay sath badalti rahti hai :blush:
but jo shair main abhi post karnay lagi ho woh meray all time fav shairs hain :slight_smile:

*

Ye tumhri talkh nawaiyaN koi aur sah kar dekha to day
Ye jo huM main tum main nibha hai meray hoslay ka kamal hai

Sochoon main teri yaad ka pathar tarash kar
Poja hai is tarha say kay jakar khuda say pocha :slight_smile:

*Allah karay jahan ko mari yaad bhool jaya
Allah karay tum kabhi asa na kar sakoon *

Meri talab tha ik shakhs vo jo nahiN mila tou phir
Haath dua se youN ghira, bhuul gya savaal bhee.

mujhaY kis jurm ki saza mili k meRi rooh taak hai thaki huwi
maiN apni jaga se hila nahi meRi sans phiR be ukhaR gaye

takhleeq i qainaat ke dilchasp jurm per ... hansta ho ga aap bi yazdaan kabi kabi

CC ayk shair ko keya kurna hay :)

anyhow wasay tu i like so many , time to time change, after all Geminie :D

ok here it goes

sabhii kuchh hai teraa diyaa huaa sabhii raahate.n sabhii kalafate.n
kabhii sohabate.n kabhii furqate.n kabhii duuriyaa.N kabhii qurbate.n

ye suKhan jo ham ne raqam kiye ye hai.n sab varaq terii yaad ke
ko_ii lamhaa subah-e-visaal kaa, ka_ii shaam-e-hijr kii qurbate.n

jo tumhaarii maan le.n naasihaa to rahegaa daaman-e-dil me.n kyaa
na kisii uduu kii adaavate.n na kisii sanam kii muravvate.n

chalo aao tum ko dikhaaye.N ham jo bachaa hai maqtal -e-shahar me.n
ye mazaar ahal-e-safaa ke hai.n ye hai.n ahal-e-sidq kii turbate.n
**
merii jaan aaj kaa Gam na kar, ke naa jaane kaatib-e-vaqt ne
kisii apane kal me.n bhii bhuul kar kahii.n likh rakhii ho masarrate.n

.

[QUOTE]
*Originally posted by Eastern Thoughts: *

CC ayk shair ko keya kurna hay :)

anyhow wasay tu i like so many , time to time change, after all Geminie :D

ok here it goes

.

[/QUOTE]

bhai apki yadasht bohat taiz hai :p

Agar palk peh hai moti tu yeh nahee kaafi
Hunar bhi chahiay alfaaz main piroonay ka

it changes time to time.. and there are billions of sher that are my favorites... Iqbal's every sher is my favorite so to speak :-)

currently, the one that is stuck in my mind is:

Qatl-e-Hussain (RA) As'l maiN marg-e-yazeed hai!
Islam Zindah hota hay har Karbala kay ba'ad!

:flower1:
:k:…


Is Main Shamil Hai Meray Bakht Ki Tareeqi Bhi
Siah Rang Jab Pehno Gie To Yaad Aa'on Gaa

Re: Post your fav shair

amongst many and many, let me contribute few of my fav ashaars...

wo jis ghumand say bichra, gilla too es ka hay
keh sari baat mohabbat main rakh rakhaao ki thi

Samundaroon kay safar main tumhain yeh kia soujhee
hamaray jaysaa sitra shanaas kho baythay

too mayray paas na thee phir bhi sehar honay tak
mayra har saans tayray jism ko choo kay guzra

kab say main nay palak naheen jhapkee
koe Amjad mayree nighaa main hay

kal mujhay yahaan tanha daikh kar
bohat udaas hoay phool baychnay walay

Fav. sher..there r many..

anyways..i just love this one from ghalib

tere vaade pe jeeiN hum to ai jaan jhooT jaana
ke khushi se mar na jaate gar aitbaar hota..

and this one again from same..ghalib, the great...

mat poochh ke kya haal hai mera tere pichhe
tu dekh ke kya rang hai teraa mere aage...

and one more..

ragoN meiN Doudne phirne ke hum nahiN kaayal
jab aankh hii se na tapka to wo lahuu kaya hai...

and..
and..
and...