Poora Dukh aur Aadha Chaand (Parveen Shakir)

Pura Dukh Aur Aadha Chand
Hijr Ki Shab Aur Aesa Chand

Din Main Wehshat Behal Gae Thi
Raat Hoe Aur Nikla Chand

Kis Maqtal Say Guzra Hoga
Itna Sehma Sehma Chand

Yadoon Ki Aabad Gali Main
Ghoom Raha Hai Tanha Chand

Meri Kerwat Per Jag Oothay
Neend Ka Kitna Kacha Chand

Meray Moun Ko Kis Hairat Say
Daikh Raha Hai Bhola Chand

Itnay Ghanay Badal Kay Peechay
Kitna Tanha Hoga Chand

Aansoo Rokay Noor Nahaey
Dil Darya Tun Sehra Chand

Itnay Roshun Chehray Per Bhi
Sooraj Ka Hai Saaya Chand

Jab Pani Main Chehra Daikha
Tu Nay Kis Ko Soocha Chand

Bargud Ki Aik Shaakh Hata Ker
Janay Kis Ko Jhanka Chand

Badal Kay Raysham Jholay Main
Bhour Samay Tak Sooya Chand

Raat Kay Shaanay Per Sar Rakhay
Daikh Raha Hai Sapna Chand

Sookhay Patton Kay Jhurmat Per
Shabnam Thi Ya Nunha Chand

Haath Hila Ker Rukhsat Hoga
Oos Ki Soorat Hijr Ka Chand

Sehra Sehra Bhatak Raha Hai
Apnay Ishq Main Sacha Chand

Raat Kay Shayad Aik Bajay Hain
Sota hoga mera Chand