Re: Poor mindset
lolzzzz . yeh app ka hunnar hay jo mainy chore ker lia : P..
baake hamaray culture main koi bhi chota Gher nahi mangta .. app nay yeh afwaah kahan say sun lee?
even woh hero herion jin ka gaana sun ker app itna mutafakkir ho gayee unhoon nay or us song ko likhnay walay nahi bhi achay khaasay paisay kamaaye hon gay
ab woh zamana gaya jub log do waqt ki roti pait bher ker khaanay ko kaafe samjhtay thay… agar waaqye hamaray culture main loog aisee khuwahish rakhtay to pakistan ka yeh haal hota ? kaam per koi raazi hee nahi hai ..
bulkay agar app k mushahiday k mutaabiq koi waaqye ayse sooch ya khuwahish rakay to woh koi Walli ullah hee hoa na… jo kaam mangay or us per raazi bhi ho
lakin agar kissi kay paas bohat assaish ho or saath main hazrat usmaan razi allah tala unhu jaisa imaan or sakhawat ho to us ka derja or muqaam zyada hee hai