Re: pohnchay kabhi aflaak talak arz-e-tamana
*
mushkil say bohat khud ko sameeta tha zara sa
phir gard uranay ko chala aya hai jhoonka
kis lams kay mazmoo'n ka anwaa'n hai harart
ek phool ki hidaat say sulaghta hai sarapa
ab tak kisi dahleez ki ankhoo'n mai nami hai
jatay huway kahi ansoo ek apna gira tha
har ek sehar ati hai orhay huway ek shaam
har raat say lipta huwa hai subha'a ka dharka
ek khwaab mandheero'n pay jala rakha hai asay
jasay hamay ek roz yaha par hi lootna hoga
hum tootatay hi rahtay hain sitaray ki tarha say
pohnchay kabhi aflaak talak arz-e-tamana
wowww shabo konci site mil gaye ap ko :D
*