Does any of you remember which ashaar or ghazals or nazams you used to read in your course I remember a little so I think here was the one from mir taqi mir
ashk ankhon main kab nahin ata
lahu ata hai jab nahin ata
hosh jata nahin raha lekin
jab wo ata hai tab nahin ata
dil se rukhsat hui koi khwahish
girya kuch be-sabab nahin ata
ishq ka hausala hai shart warna
bat ka kis ko dhab nahin ata
ji main kya-kya hai apne ae hamdam
har sukhan ta ba-lab nahin ata
**maiN chuN k grade 10 se pahle kabhii school gayaa nahiiN is liye nahiiN pataa k kitaaboN meN kaun kaun sii GhazleN yaa nazmeN prescribed thiiN...magar haN, grade 10 kaa mujhe yaad hai...kaii sho'araa e karaam the jaise Ghalib, Meer, Sauda, Zafar, AsGhar, Iqbal vaGhaira vaGhaira
to ghalaban aap ko ishq bhi hoa ahi ghalti sey :D
hahaha...han vo "man-Khuliya" jab mujhe huaa thaa to usii kaa side effect thaa :D vaise, yeh aazaar kisko nahiiN lagtaa..."LOVERIA VIRUS" is highly contagious and more DESTRUCTIVE than "Flesh-Eating Bacteria"...yeh dil deedhaa dil ko attack kartaa hai aur use dekhte hii dekhte khaa jaataa hai :(
to ab aap loveria ko chorein aur shaadiria ko apnayein sab bhool jaayein gay ALLAH ke karam sey :)
shaadiria hamaare naseeb meN nahiiN ham to bane hii haiN "Singleria" ke liye :D
shaadiria hamaare naseeb meN nahiiN ham to bane hii haiN "Singleria" ke liye :D
ab aisi baat bhi naa karein singleria kyoon mein to rishtay wali maaii ban jaati hoon aap haan to karein :D ham aap ki doobti nayya ko bacha lein gay :D
ab aisi baat bhi naa karein singleria kyoon mein to rishtay wali maaii ban jaati hoon aap haan to karein :D ham aap ki doobti nayya ko bacha lein gay :D
**are ab kia haN karuuN yaa kia naa karuuN...na haN meN dam hai mere na naa meN dam hai...
dil pahloo meN do do haath uchhlaa jaaye hai
ab to damadam yam-e-zindagii niklii jaaye hai**