Poetry from Ghalib and other famous South Asian poets

i know the names, Ghalib, Faiz Ahmad Faiz, Meer Taqi Meer .. but I m not too familiar with their work, I would appreciate it if someone could post some of their famous works.. :slight_smile:

welcome here malung_ :rolleyes: …ye lain ap k leay Faiz ahmed faiz
jo ap ne request ki wesay tu yahan bohat pohnchay huwey shuu’Ra mojood hain jo galib aur meer ki kami be puri kar dain gain …:slight_smile:
filhal faiz se guzara kar lo…

bahut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai

ham ek umr se vaaqif haiN ab na samajhaao
ke lutf kyaa hai mere meharabaaN sitam kyaa hai

kare na jag meiN alaav to sher kis maQasad
kare na shahar meiN jal-thal to chashm-e-nam kya hai

ajal ke haath ko_ii aa rahaa hai paravaanaa
na jaane aaj kii feharist me.n raQam kyaa hai

lihaaz meiN ko_ii kuchh duur saath chaltaa hai
vagarna dahar meiN ab Khizr kaa bharam kya hai

**chaliey meer ki be sun he lain ap aik achi se gazal]/b]

rahii naguftaa mere dil meiN daastaaN meri
na is dayaar meiN samjhaa koi zabaaN meri :teary3:

barang-e-saut-e-jaras tujh se duur huuN tanhaa
Khabar nahiN hai tujhe aah kaaravaaN merii

usii se duur rahaa asl-e-muddaa jo thaa
ga_ii ye umr-e-aziiz aah raayagaaN merii

tere firaaq meiN jaise Khayaal muflis kaa
gaye hai fikr-e-pareshaN kahaN kahaN meri

diya dikhaaa_ii mujhe to usii kaa jalvaa “Meer”
paRii jahaaN meiN jaa kar nazar jahaaN merii

happy

yahan bohat pohnchay huwey shuu'Ra mojood
hain jo galib aur meer ki kami be puri kar dain gain ...
filhal faiz se guzara kar lo...lolz at nikami

Here is Mirza ghalib ji !
hai tu mushkil wordings per hai khoob!malang ji check it out!

bas kay dushwaar hai har kaam kaa Aasaan hona
Admi ko bhi muyassar nahin insaan hona

            girya chaahay hai Kharaabi meray kaashaanay ki
             dar-o deevaar say Tapkay hai bayaabaan hona

             vaa'ay deewaangi-e Shauq key haar dam mujh ko
               Aap jaana udhar, aur Aap hi Hairaan hona

             jalvah az-baskeh taqaazaa'ae nigaah karta hai
           jauhar-e aaina bhi chaahay hai ma-yy-gaan honaa

            ke meray qatl kay baad us nay jifaa say tauba
            haye  us zood pashaemaan ka pashaemaan hona

            Haif us chaar girah kapray ki qismat GHAALIB
            jis ki Qismat main  ho Aashiq ka garebaan hona!