Poetic guftugu- Let's try it out

Re: Poetic guftugu- Let’s try it out

Guma’n honay laga hai humko kuch kuch…ke app sahi hain
nahi suna dekha kahin…aur food street mein bhi nahi hain

dar lagta hai abhi tu karachi janay say hazoor
howay halaat behtar tu jaon ga zaroor

kabaab milein nay milein ab hum ko udhar say
ab tu tajasus hai…in dono ka sangam dekhna hai :wub: