Re: Poet of the Month SAGAR SIDDIQUI
*hai duaa yaad magar harf-e-duaa yaad nahiin
mere naGmaat ko andaaz-e-navaa yaad nahiin *
*main ne palakon se dar-e-yaar pe dastak dii hai
main vo saahil huuN jise ko_ii sadaa yaad nahiin *
*main ne jin ke liye raahon mein bichhayaa thaa lahuu
ham se kahate hain vahii ahad-e-vafaa yaad nahiin *
*kaise bhar aa_iin sar-e-shaam kisii kii aaNkhein
kaise tharraa_e charaaGon kii ziyaa yaad nahiin *
*sirf dhundhalaa_ii sitaaron kii chamak dekhii hai
kab huaa kaun huaa kis se Khafaa yaad nahiin *
*zindagii jabr-e-musalasal kii tarah kaTatii hai
jaane kis jurm kii paa_ii hai sazaa yaad nahiin *
*aao ik sajdaa kare.n aalam-e-madhahoshii mein
log kahate hain "Sagar" ko Khudaa yaad nahiin *
Poet: Sager Siddiqie