Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~
Yeh muaj'zah bhi...
Yeh muaj'zah b mohabbat kabhi dikhaye mujhe
keh sang tujh pe gire aur zakhm aaye mujhe..
main apne paa'un talay rond-ta hon saaye ko
badan maira hi sahi, dopeher na bhaye mujhe
wohi tou sab se zyadah hai nukta-chiin maira
jo muskura ke hameshaa galay lagaye mujhe
woh maira dost hai saare jahan ko hai maloom
daga karay wo kissi se tou sharam aaye mujhe
woh mehebaan hai tou iqraar kyun nahin karta..
woh bad-guman hai tou saw baar azmaye mujhe
barang-e-aud milay gii ussey mairi khushboo...
woh jab b chahay baray shauq se jalaye mujhe
main apni zaat mein neelam ho raha hon Qateel'
gham-e-hayat se keh do khareed laaye mujhe!!!