Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

Hukumraan mujh ko..

Hukumraan mujh ko baharon ka banaya jaye
taaj kanton ka maire ser pe sajayaa jaye

har koi ab tou gunehgar bana baitha haii
paarsaii ka hunar mujh ko sikhaya jaye...

Maut barhaq hai magar mairi guzarish ye hai
Zinda Insaan ka janaza naa uthaya jaye..

main bataun ga ussay zakhm ki lazzat kia hai
phool kaa mujh se taa'ruf tou karaya jaye..

barh gaii umrr mairi nisff sadii se bhi Qateel'
jashn ab maire ghamon ka bhi manaya jaaye!!!

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

Duniya ne hum pe...

Duniya ne hum pe jab koii ilzaam rakh diya
hum ne muqabill uss k taira naam rakh diya

ikk khaas had pay aa gai jab tairi be-rukhii..
naam uska hum ne gardish-e-ayaam rakh diya

main larkhara raha hon tujhe daikh daikh kar
tu ne tou maire saamne ik jaam rakhh diyaa

ab jiss k jii mein aaye wohi paye roshinii
hum ne tou dil jala k sar-e-aam rakh diyaa

kia maslihat shanaas tha woh Aadmi Qateel'
majbooriyon ka jis ne Wafa naam rakh diya!

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

Tumhari anjuman say uTh kay deewanay kahaN jatay
Jo wabasta huay tum say woh fasanay kahaN jatay

Nikal ker deer o Kaab'a say agar milta na mai KHana
Tu TuKHraye huay insaaN KHuda janay kahaN jatay

Tumhari bay ruKHi nay laaj raKH lee baada KHanay kee
Tum AanKHoN say pila detay tu paimanay kahaN jatay

Chalo aCHa hua kaam Aa gayee deewangi apni
Wagarna hum zamanay BHar ko samJHanay kahaN jatay

Qateel apna muqaddar GHam say begana agar hota
Tu PHir apnay paraye humsay pehCHanay kahaN jatay

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

Yeh kis nay kaha tum kooCH karo baataiN na banao Insha Jee
Yeh SHahar tumHAra apna hai isay choR na jaao Insha Jee

Jitnay BHi yahan kay baasi haiN, sub kay sub tumsay piyar karaiN
Kia insay BHi munh PHairo gay yeh zulm na DHao Insha Jee

Kia soCH ker tun nay sainCHee thee yeh kaiser kiyari CHahat kee
Tum jinko hansanay Aaye THay unko na rulaao Insha Jee

Tum laaKH sayyahat kay ho dHani ek baat hamari BHi maano
Koi jakay jahaN say Aata naheeN us dais na jaao Insha Jee

BiKHratay ho sona harfoN ka tum CHandi jaisay kaGHaz per
PHir unmaiN apnay zaKHmoN ka mut zehr milaao Insha Jee

Ek raat tu kia woh HaSHr talak raKHay gee KHula darwazay ko
Kab louT kay tum GHar Aao gay, sajni ko bataao Insha Jee

NaheeN sirf Qateel kee baat yahaN, kaheeN Saahir hai kaheeN Aali hai
Tum apnay puranay yaaroN say daman na CHuRaao Insha Jee

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

Wah Beautifull Sharings WiseGuy.. :lajawab:

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~


**Meri Zindgi tu firaq hai wo azal se dil main make'n sahi **
**Wo nigahe'shauq se door hain rage'jaa'n se lakh qare'n sahi **

**Hamein jaan deni hai aik din,wo kisi tarha wo kahin sahee **
**Hamien aap khainchiye waar par,jo nahin koi tu hamee'n sahee **

**Sar_e_toor sar_e_hashr ho,hamein intezaar qabool hai **
**Wo kabhi milein,wo kahin milein,wo kabhi sahee,wo kahin sahee **

**Na ho un pe mera bass nahin,ke ye aashqi hai hiwas nahi **
**Main unhi ka tha,main unhi ka hoon,wo mere nahin,tu nahin sahee **

**Mujhe bhaithne ki jaga milay,meri aarzoo ka bharam rahay **
**Teri anjuman mein agar nahin,teri anjuman ke qaree'n sahee **

**Tera dar tu hum ko na mil saka,teri rahguzar ki zamee'n sahee **
**Hamein sajda karne se kaam hai,jo whan nahin tu yahee'n sahee **

**Meri Zindagi ka naseeb hai,nahin door mujh se qareeb hai **
**Mujhe uska ghum tu naseeb hai,wo agar nahin tu nahin sahee **

**Jo ho faisla wo sunaayye,usse hashr par na uthaayye **
**Jo karein ge aap situm waha,wo abhi sahee,wo yahee'n sahee **

**Usse dekhne ki jo lo lagi tu Qateel dekh hi lain gey hum **
**Wo hazaar aankh se door ho,wo hazaar pardah nashee'n sahee<!--colorc--><!--/colorc-->

<!--coloro:#006600-->

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

Nice Nice ... Keep em coming :)

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

hum keep on cumin when moderate shaib keep on bringing :D

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

:k:

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

Yeh muaj'zah bhi...

Yeh muaj'zah b mohabbat kabhi dikhaye mujhe
keh sang tujh pe gire aur zakhm aaye mujhe..

main apne paa'un talay rond-ta hon saaye ko
badan maira hi sahi, dopeher na bhaye mujhe

wohi tou sab se zyadah hai nukta-chiin maira
jo muskura ke hameshaa galay lagaye mujhe

woh maira dost hai saare jahan ko hai maloom
daga karay wo kissi se tou sharam aaye mujhe

woh mehebaan hai tou iqraar kyun nahin karta..
woh bad-guman hai tou saw baar azmaye mujhe

barang-e-aud milay gii ussey mairi khushboo...
woh jab b chahay baray shauq se jalaye mujhe

main apni zaat mein neelam ho raha hon Qateel'
gham-e-hayat se keh do khareed laaye mujhe!!!

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

w0w.. beautiful collection..

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

Ye Theek Hai Koi Marta Nahi Judai Main
Khuda Kisi Ko Kisi Se Magar Juda Na Karay

PS: Meray paas Qateel Shifai ki koi book he nahi :teary2:

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

lo jee Karachi mai rehtay huay books nahee, Insha Allah mai summer main Pakistan jaaon ga tu phir dhair saari books khareedoon ga. :smokin:

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

Na koi KHuwab hamaray haiN na taabeeraiN haiN
Hum tu paani pe banai hui tasveeraiN haiN

Kia KHabar kab kisi insaan pe CHat Aan giray
Qarya e sung hai aur kaanCH kee tameeraiN haiN

LuT gaye muft main dono, teri daulat mera dil
Ay saKHi! teri meri eik see taqdeeraiN haiN

Hum jo naKHaanda nahee haiN tu CHalo Aao paRhaiN
Woh jo deewar pe liKHi hui tehreeraiN haiN

Ho na ho yeh koi suCh bolnay wala hai Qateel
Jis kay haaTHoN main qalam paoN maiN zanjeeraiN haiN

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

aray baba.. Qateel Sahab ki book nahi.. :(

warna i have many books :)

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

Dunya mean Qateel uss sa Munafiq nahi koi
jo zulm too sehta hay baghawat nahi kerta

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

Grame hasrat e nakaam se jal jatay hean
hum charaghon kee tarah sham say jal jatay hean

shama jiss aag mean jalte hay numaiesh kay liyee
hum usse aag mean gumnam se jal jatay hean

Khud numaie too nahi shewah arbaab e wafaa
jinn ko jalna ho wo araam se jal jatay hean

Bach nikaltay hean ager atish e sayaal say hum
sholah arze gulfam say jal jatay hean

jub bhi ataa hay mera naam teray naam kay sath
janay kion loog meray naam say jal jatay hean

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

Shabnam nahin kehta usse..

Shabnam nahin kehta usse shola nahin kehta
woh koi b ho, main usse tujh sa nahin kehta

iss darr se k tu mujhko shafa-yaab na kar de
qaatil tujhe kehta hon, maseeha nahin kehta

sajtii hai khayalonn mein sadaa koi rafaaqatt...
tanha hon magar khud ko main tanha nahi kehta

gehraii jo dii tu ne maire zakhm-e-jigar ko...
main itna samandarr ko b gehraa nahin kehta

karta hon Qateel apne gunahon per bohat naaz
insaan hon main, khud ko farishta nahin kehta

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~