Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~
Yeh kis nay kaha tum kooCH karo baataiN na banao Insha Jee
Yeh SHahar tumHAra apna hai isay choR na jaao Insha Jee
Jitnay BHi yahan kay baasi haiN, sub kay sub tumsay piyar karaiN
Kia insay BHi munh PHairo gay yeh zulm na DHao Insha Jee
Kia soCH ker tun nay sainCHee thee yeh kaiser kiyari CHahat kee
Tum jinko hansanay Aaye THay unko na rulaao Insha Jee
Tum laaKH sayyahat kay ho dHani ek baat hamari BHi maano
Koi jakay jahaN say Aata naheeN us dais na jaao Insha Jee
BiKHratay ho sona harfoN ka tum CHandi jaisay kaGHaz per
PHir unmaiN apnay zaKHmoN ka mut zehr milaao Insha Jee
Ek raat tu kia woh HaSHr talak raKHay gee KHula darwazay ko
Kab louT kay tum GHar Aao gay, sajni ko bataao Insha Jee
NaheeN sirf Qateel kee baat yahaN, kaheeN Saahir hai kaheeN Aali hai
Tum apnay puranay yaaroN say daman na CHuRaao Insha Jee