Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

Re: Poet of the Month ~ Qateel Shafaii ~

Duniya ne hum pe...

Duniya ne hum pe jab koii ilzaam rakh diya
hum ne muqabill uss k taira naam rakh diya

ikk khaas had pay aa gai jab tairi be-rukhii..
naam uska hum ne gardish-e-ayaam rakh diya

main larkhara raha hon tujhe daikh daikh kar
tu ne tou maire saamne ik jaam rakhh diyaa

ab jiss k jii mein aaye wohi paye roshinii
hum ne tou dil jala k sar-e-aam rakh diyaa

kia maslihat shanaas tha woh Aadmi Qateel'
majbooriyon ka jis ne Wafa naam rakh diya!