Poet of the Month- Parveen Shakir -

Re: Poet of the Month- Parveen Shakir -

and one more fav ghazal of P Shakir from being lonely

*teri Khushbu ka pata karti hai *
*mujh pe ehasaan hava karti hai *

*shab kii tanhaai main ab to aksar *
*guftaguu tujh se rahaa karti hai *

dil ko us raah pe chalana he nahi
*jo mujhe tujh se judaa karti hai *

*us ne dekhaa he nahi varna ye aankh *
*dil kaa ehavaal kahaa karti hai *

*shaam parte he kisi shakhs ki yaad *
*kuuchaa-e-jaan mein sadaa karti hai *

*dukh hua karta hai kuchh aur bayaan *
*baat kuchh aur huaa karati hai *

*masalaa jab bhii uthaa chiraagon ka *
*faisalaa sirf havaa karatii hai *