Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah

Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah


thien ajab rung ki sa'aitain jo basar huwi teray pyar main
kabhi besa'haroo'n kay zail mai kabhi mulzimoo'n ki kitaar main

teri chahtoonn say nikal kay bhi mai kaye zamoon'n mai qaid ho
kahi roz-o-shab ki shikast mai kahi mousamoo'n kay hissar main

jo nikal gya so nikal gya jo bhatak gya so bhatak gya
inhi jangloo'n kay hajoom mai inhi rastoo'n kay gubaar main

jo sisak sisak kay fana huwi thien hazaar ha meri khwahishai'n
meri apni zaat kay kunj mai meray apnay gham kay fashaar main

woh janoo-n mera janoo-n tha jo tawaaf tha teray shehar ka
ye sakoot mera sakoot hai jo para hai rahguzar main

Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah

isi say jaan gya mai kay bakht dhalnay lagay
mai thak kay chaoo'n mai betha to pair chalnay lagay

mai day raha to saharay to ek hajoom mai tha
jo gir para to sabhi rastay badlany lagay

woh you'n shareek huwy meri pyaas kay dukh mai
lab-e-firaat kharay apnay hath malnay lagay

kisi kay hath mai jaan' hai kisi kay hath mai dil
bhala yaha pay koi kis tarha sanmbhalnay lagay

2 Likes

Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah

Very sad :teary1:

Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah

beautiful gazal shabo :) *

Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah

baqi nahi achi lagi :rolleyes:

Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah

Samay Jaisay Guzarta Ja Raha Hai
Koi Dil Se Utarta Ja Raha Hai
Bana Tha Rait'li Matti Se Jeewan
Bikherta He Bikherta Ja Raha Hai

Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah


woh kahti hain: balain jub bhi mera naam lati hain
main kahta ho: tujhay meri duain tham lati hain

woh mujh say pochti hai: shaam kya weraan hoti hai
main kahta ho kay ye to hijar ki pehchaan hoti hai

woh mujh say pochti hai: ratjagoo ka rung kasa hai
main kahta ho kay jasa jagnay walay ki ankhao ka

woh mujh say pochti hai: pyar ka matlab bataoo gay
main kahta ho kay har ek baat ka matlab nahi hota

woh boli: rastay main dard kay kitnay samandar hain
main bola: akhari jo zabt say bahir nikal jaye

muhbat main safar kitna zaroori hai: wh kahti hai
main bola: muhbat main kahi tehra nahi jata

woh kahti hai: koi rota hai galio kay andheroo maiN
main kahta ho: judaye phir rahi hogi musebat main

Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah

beautiful gazal shabo *

Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah

kaha manay kaha ho tum jawab aya jahan ho tum

meray jewan say zahir ho
meray gham mai nihaa’n ho tum

meri to sari dunia ho
mera sara jhaha’n ho tum

meri sochoo’n kay mehwar mai
mera zor-o-bayaa’n ho tum

mai ek lafz mohabat ho’n
magar meri zubaa’n ho tum

:blush:

Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah

wow, lublyyyy g