Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah

Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah


maiN ne dekhaa divaano'N ko shaam ke baad
dhuuNDh rahe the viiraano'N ko shaam ke baad

taariikii phir saare aib chhupaa ley'gi
le aana ghar mahamano'N ko shaam k baad

maiN ne us kaa sog manayaa kuchh aisaa
khaalii rakhaa paimaano'N ko shaam k baad

yaad kare jab mujh ko terii tanhaa_ii
dekhaa karna gul'daano'N ko shaam k baad

"Farhat" chaaNd k Khauf se kaR letaa huuN band
kamare ke raushan_daano'N ko shaam ke baad