http://www.paklinks.com/gsmedia/files/36755/Mohsin1.JPG
A great poet of 19th century Mohsin Naqvi
Aankhein khuli rahain gi to manzar bhi ayen ge
Zinda hai dil to aur sitamgarr bhi ayen ge
Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayen ge
Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday to teri qaba par bhi ayen ge
Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain to pathar bhi ayen ge
Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!
Niklay safar pay hum to teray ghar bhi ayen ge
Mohsin abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayen ge
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
Bahut khoob … Maah-e-December aur Mohsin Naqvi … Umdaah intikhaab … :k:
http://i51.tinypic.com/24pap7a.jpg
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
http://i52.tinypic.com/2dhe7om.jpg
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
http://i52.tinypic.com/6sxsox.jpg
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
http://i55.tinypic.com/2dmgh2x.gif
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
Nice collection
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
beautifull collection
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
kisi ki aas ban kar phir...
usy tanha nahi karty
bhaly kitni b mushkil ho
magar aisa nahi karty
mohabbat mein shakayat ka
kahan dastor hota hy
gila kar k mohabbat ko
kabhi ruswa nahi karty
wafaen dar haqiqat MOHSIN
bari anmol hoti hain
kabi apni wafaon ka...
sila manga nahi karty...!!!
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
**humara kya hai ke hum to chiragh-e-shab ki tarah
agar jale bhi to bas itni roshni hogi
ke jaise tund andheron ki raah mein jugnu
zara si der ko chamke, chamak ke kho jaaye
phir is ke baad kisi ko na kuch sujhaayi de
na shab katay na suragh-e-sahar dikhayi de
humara kya hai ke hum to pas-e-ghubaar-e-safar
agar chale bhi to bas itni raah taye hogi
ke tez hawaaon ki zard maa_ill naqsh-e-qadam
zara si der ko ubhre ubhr ke mit jaaye
phir us ke baad na raasta na rah_guzar milay
hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar milay
humari simt na dekho ke koi der mein hum
qabila-e-dil-o-jaan judaa honay walay hain
basay basaaye huye shahar apni aankhon ke
misal-e-khana-e-weeraan ujarhnay walay hain
hawa ka shor ye he hai to dekhtay rahna
humari umar ke khemein ukharnay walay hain
**
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
Meri Bhi Zeest Ka Chehra Nikhar Gaya Hota
Mera Bhi Kaash Muqadder Sanwar Gaya Hota
Mein Khaar Hoon To Terey Daman Se Lipta Hoon
Mein Phool Hota To Kab Ka Bikhar Gaya Hota
Jo Waqt Mujh Pe Guzarta Hai Subha Se Shaam Tak
Tujhey Sunata To Chehra Utar Gaya Hota !
Be Hissi Dekh Ker Mein Sochta Hoon Duniya Ki
Ke Kaash Mera Bhi Ahsaas Mar Gaya Hota !
Merey Salook Pe Khamoosh Reh Ke Tor Gaya
Woh Mujh Pe Koi To ILzaam Dhar Gaya Hota
**Najaney Kitni Hi Aankhain Hain Muntazir Teri !
Kabhi To Lout Ker Ae Dost Ghar Gaya Hota
**
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
intihai aala sharing.......mohsin naqvi was a great poet....ilfaz ka esa khoobsoorat istemal bohot kam dekhne mein aata hai....wo kamal shakhs tha.
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
http://i53.tinypic.com/n5muqs.jpg
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
nice
UZ
December 16, 2010, 4:42am
14
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
Nice collection Thanks for sharing:k:
Amal
December 17, 2010, 6:44pm
15
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
kya baat hey :k:
Amal
December 17, 2010, 6:46pm
16
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
NOREEN19:
humara kya hai ke hum to chiragh-e-shab ki tarah
agar jale bhi to bas itni roshni hogi
ke jaise tund andheron ki raah mein jugnu
zara si der ko chamke, chamak ke kho jaaye
phir is ke baad kisi ko na kuch sujhaayi de
na shab katay na suragh-e-sahar dikhayi de
humara kya hai ke hum to pas-e-ghubaar-e-safar
agar chale bhi to bas itni raah taye hogi
ke tez hawaaon ki zard maa_ill naqsh-e-qadam
zara si der ko ubhre ubhr ke mit jaaye
phir us ke baad na raasta na rah_guzar milay
hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar milay
humari simt na dekho ke koi der mein hum
qabila-e-dil-o-jaan judaa honay walay hain
basay basaaye huye shahar apni aankhon ke
misal-e-khana-e-weeraan ujarhnay walay hain
hawa ka shor ye he hai to dekhtay rahna
humari umar ke khemein ukharnay walay hain
Amazing poem. Thanx for sharing NOREEN19 :k:
UZ
December 17, 2010, 6:48pm
17
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
reit par likh ke meraa naam miTaayaa na karo
aankheinn sach bolatii hain pyaar chupaayaa na karo
log har baat kaa afsaana banaa lete hain
sab ko haalaat kii rudaad sunaayaa na karo
ye zaruurii nahin har shaKhs masiihaa hii ho
pyaar ke zaKhm amaanat hain dikhaayaa na karo
shahar-e-ehasaas mein pattharaav bahut hain 'Mohsin'
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaayaa na karo
pktun
December 21, 2010, 8:49am
18
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
WOW Mohsin my Fav.
pktun
December 22, 2010, 12:09pm
19
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
Re: Poet Of The Month Mohsin Naqvi
*
Hum Yousef-e-Zamaan thay abhi kal ki baat hai
Tum hum pe meharbaan thay abhi kal ki baat hai
Woh bhi din thay ke hum hi tumhari zubaan pe thay
Mozoo-e-daastaan thay abhi kal ki baat hai
Ay kaarwaan-e-inquilaab-o-gul tum ko yaad ho
Hum meer-e-kaarwaan thay abhi kal ki baat hai
Jin dostoon ki kami hai aaj hayyat mein
Woh apne darmeyaan thay abhi kal ki baat hai
Kuch hadisoon se girr gaye 'Mohsin' zameen per
Hum rashk-e-aasmaan thay abhi kal ki baat hai ...*